Ek baat kahoon gar sunti ho,
Tum mujhko achi lagti ho,
Kuch chan chal si kuch chup chup si,
Kuch pagal pagal lagti ho,
Hain chahne wale aur bohat,
Par tume hai ek baat bohat,
Tum apni apni lagti ho,
Yeh baat baat peh kho jana,
Kuch likhte likhte ruk jana,
Yeh kis uljhan mein rehti ho,
Jo baat hai mujhse keh dalo,
Ek baat kahoon gar sunti ho,
Tum mujhko achi lagti ho.
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
|
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,
Sitam karna haikaro par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo?.
Tumhara
Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Tumhara Pyaar Mere
Chaar Suu Abhi Tak Hai
Koi Hisaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Bichartay Waqt Jo Tum
Sonp Kar Gaye Thay Mujhe
Wo Intezaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
TU Khud Hee Jaanay
Kaheen Door Kho Gaya Hai Magar
Teri Pukaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Mein Jub Bhi Nikla
Mere Paon Chhaid Daalay Ga
Jo Khaar Zaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Mein Ab Bhi Girtay
Howay Paanion Ki Qaid Mein Hun
Ik Aabshaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Koi Gumaan Mujhe Tum
Se Door Kaisay Karay ?
Ke Aitbaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
|
ghar mein bhi tanhaa tha mein,
Band
tha darwaaza bhi aur ghar mein bhi tanhaa tha mein,
Tu ne kuch mujh se bola tha ya aap hi bola tha mein ..
woh aankhain jheel si gehri to hain magar,
Amjad woh aankhain jheel si gehri to hain magar,
Un mein koi bhi
akss bhi mere naam ka nahin..
Mujhe khud se hain shikaaytain, mujhe zindagi
se gilaa nahin
Mujhe khud se hain
shikaaytain, mujhe zindagi se gilaa nahin,
Ke jo chaha mene woh paa liya, nahin aesa kuch jo mila nahin,
Mere aas paas hai
roshni, mere raston mein chiraag hain,
Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka silaa nahin,
Teri aankh se jo haseen
ho, woh nigaah jag mein bani nahin,
Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aesa phool khila nahin,
Yeh jo teri zulf ka
hai haashiya, yeh jo tera chahra khushnuma,
Koi raat aesi seyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin,
Yeh jo mehr-o-maa ki
hain haaltain, yeh jo aayinon ki hain hertain,
Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin..
|
Post a Comment